Monday, September 29, 2008

srujan's concept

manme aisi kaunsi uljhane hoti hai jo hame samajhti nahi par manme honeka ehsas dilati hai. kuch alag karna hota hai jindagime par es alagki vyakhya kya hai? hum ab dohraipar kahade hai, manki dvidha avastha hui hai ye labj hume kyon satate hai? ek najmame sab uljhane kyon vyakt nahi hosakti? kisi ek natyavishkarme rangreshaonka mrugajal kyon pratit nahi hota? aakhir ye safer bahot lamba hai. hum kinaretak pahunchte pahunchte anek dishaose vicharonka, uljhanonka, bhavnaonka samna karna padega tabtak ye SRUJANka, CREATIONka silsila chalta rahega.

No comments: